* Saaraa aalam gosh bar aavaaz hai *
Saaraa aalam gosh bar aavaaz hai
aaj kin haatho’n me’n dil kaa saaz hai
haaN zaraa jurrat dikhaa ai jazb-e-dil
husn ko parde pe apane naaz hai
kamnashiin dil kii haqiiqat kyaa kahuu’n
soz men Dubaa huaa ik saaz hai
aap kii makhmoor aankhon kii qasam
merii maikhvaarii abhii tak raaz hai
hans diye vo mere rone par magar
un ke hans dene men bhii ek raaz hai
chhup gaye vo saaz-e-hastii chhed kar
ab to bas aavaaz hii aavaaz hai
husn ko naahaq pashemaan kar diyaa
ai junoon ye bhii koii andaaaz hai
saarii mahafil jis pe jhuum utthii 'Majaz'
vo to aavaaz-e-shikast-e-saaz hai
|