donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Majaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ek nanhii munnii sii pujaaran, *
Ek nanhii munnii sii pujaaran,
patlii baaheN, patlii garden,
bhor bhaye mandir aayii hai,
aayii nahiiN hai, maaN laayii hai,
vaqt se pahle jaag uThThii hai,
niiNd bhii aaNkhoN meN bharii hai,
ThoRii tak laT aayii hu’ii hai,
yuuNhii (?) sii lahraa’ii hu’ii hai,
aaNkhoN meN taaroN kii chamak hai,
mukhRe pe chaaNdii kii jhalak hai,
kaisii sundar hai, kyaa kahiye,
nanhii sii ek Siitaa kahiye,
dhuup chaRhe taaraa chamkaa hai,
patthar par ek phuul khilaa hai,
chaaNd kaa TukRaa phuul kii Daalii,
kamsin siidhii bholii-bhaalii,
kaan meN chaaNdii kii baalii hai,
haath meN piital kii Thaalii hai,
dil meN lekin dhyaan nahiiN hai,
puujaa kaa kuch gyaan nahiiN hai,
kaisii bholii aur siidhii hai,
mandir kii chhat dekh rahii hai,
maaN baRh kar chuTkii letii hai
chupke chupke haNs detii hai,
haNsnaa ronaa uskaa mazhab,
us ko puujaa se kyaa matlab,
Khud to aayii hai mandir meN,
man uskaa hai guRiyaa-ghar meN.
(guRiyaa-ghar : house of dolls)
Majaz Lucknawi (1936)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 395