donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Majaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jigar aur dil ko bachaanaa bhii hai, *
Jigar aur dil ko bachaanaa bhii hai,
nazar aap hii se milaanaa bhii hai,
muhabbat kaa har bhed paanaa bhii hai,
magar apnaa daaman bachaanaa bhii hai,
jo dil tere Gham kaa nishaanaa bhii hai,
qatiil-e-jafaa-e-zamaanaa bhii hai,
(qatiil : slain; jafaa-e-zamaanaa : cruelty of the world)
ye bijlii chamaktii hai kyuN dam-ba-dam,
chaman meN ko’ii aashiyaanaa bhii hai,
(dam-ba-dam : now and then; aashiyaanaa : shelter)
Khirad kii ata’at zaruurii sahii,
yahii to junuuN kaa zamaanaa bhii hai,
(Khirad : mind; ata’at : to follow; junuuN : frenzy)
ye duniyaa, ye ‘aqbaa kahaaN jaaiye,
kahiiN ahl-e-dil kaa thikaanaa bhii hai,
(uqbaa : here-after; ahl-e-dil : people with a heart; thikaanaa : destination)
mujhe aaj saahil pe rone bhii do,
ke tuufaan meN muskuraanaa bhii hai,
(saahil : sea-shore)
zamaane se aage to baRhiye “Majaz”,
zamaane ko aage baRhaanaa bhii hai.
Majaz Lucknawi
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 547