donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Majaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* AasmaaN tak jo naalaa pahuuNchaa hai, *
AasmaaN tak jo naalaa pahuuNchaa hai,
dil kii gehraa’iioN se niklaa hai,
merii nazroN meN hashr bhii kyaa hai,
maiN ne un kaa jalaal dekhaa hai,
(hashr : day of judgement; jalaal : splendour)
jalva-e-Tuur Khvaab-e-Muusaa hai,
kis ne dekhaa hai kis ko dekhaa hai,
(Tuur : The mountain where Moses went to meet God; Muusaa : Moses)
haaye anjaam us safiine kaa,
naa-Khudaa ne jise Duboyaa hai,
( safiinaa : boat; naa-Khudaa : commander of a ship)
aah kyaa dil meN ab lahuu bhii nahiiN,
aaj ashkoN kaa rang phiikaa hai,
jab bhii aaNkheN miliiN un aaNkhoN se,
dil ne dil kaa mizaaj puuchaa hai,
vo javaanii ke thii hariif-e-tarab,
aaj barbaad-e-jaam-o-sehbaa bhii nahiiN,
(hariif : enemy; tarab : joy; sehbaa : red wine)
kaun uTh kar chalaa muqaabil se,
jis taraf dekhiye andheraa hai,
phir merii aaNkh ho gayii namnaak,
phir kisii ne mizaaj puuchaa hai,
(namnaak : teary eyed)
sach to ye hai ke “Majaz” kii duniyaa,
husn aur ishq ke sivaa kyaa hai.
Majaz Lucknawi (1945)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 455