|
* Aap kii yaad aatii rahii raat bhar *
Aap kii yaad aatii rahii raat bhar ,
chashm-e-nam muskuraatii rahii raat bhar ,
raat bhar dard kii shammaa jalatii rahii ,
Gham kii lau tharatharaatii rahii raat bhar ,
baa.Nsurii kii surilii suhaanii sadaa,
yaad ban ban ke aatii rahii raat bhar,
yaad ke chaa.Nd dil me.n utarate rahe ,
chaa.Ndanii jagamaatii rahii raat bhar ,
koii diivaanaa galiyo.n me.n phirataa rahaa ,
koii aavaaz aatii rahii raat bhar .
|
|