donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Makhmoor Saeedi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Din kii bastii pe chhaa rahii hai shaam, *
Din kii bastii pe chhaa rahii hai shaam,
aaNgan aaNgan phir aa rahii hai shaam,
aasmaanoN se phir zamiiN ke liye,
ko’ii paiGhaam laa rahii hai shaam,
manzil-e-shab kii rah-guzaaroN par,
phir sitaare bichaa rahii hai shaam,
(manzil-e-shab : night destination; rah-guzaar : path)
taaj hai sar pe surKh phuuloN kaa,
KhushbuuoN meN nahaa rahii hai shaam,
rang, Khushbuu, sitaarah, dhuNdh, dhuuaaN,
ruup kyaa kyaa dikhaa rahii hai shaam
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 337