donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Makhmoor Saeedi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ik baar mil ke phir na kabhi um'r bhar mile *
Ik baar mil ke phir na kabhi um'r bhar mile
Do ajnabi thE hum jo sar-e-raah'guzar mile

Kuch manzilon ke khwaab thr, kuch raaston ki dhoop
Nikle safar pe hum to yahi hum'safar mile

Yoon apni sar'sari si mulaqaat khud se thi
Jaise kisi se koi sar-e-raah'guzar mile

Ik shaks kho gaya hai jo raste ki bheeR ma
Us ka pata chale to kuch apni khabar mile

Apne safar ma yoon to akaila hoon ma magar
Saya sa aik, raah ke har moR pe mile

Barson ma ghar hum aaye to begaana waar aaj
Hum se khud apne ghar ke hi deewar-o-dar mile

Makhmoor hum bhi raqs karein mauj-e- gul ke saath
Khul kar jo hum se mausam-e-deewana gar mile
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 364