* mitti ka mai diya tha,jalaya nahi gaya *
mitti ka mai diya tha,jalaya nahi gaya
sachhaieyo'n ko samne laya nahi gaya
chaliye dekhaien aap ko purkhon ki azmatein
malba kisi khandar se hataya nahi gaya
tasveer khinch le jo tumhare shabab ki
kagaz pe aisa sher ugaya nahi gaya
lafzon ko jod jad ke ash'aar kah liye
hum se kisi ka sher,udaya nahi gaya
mahol par jami rahi sanjidgi ki gard
dil khol ke kisi ko hansaya nahi ga.
chun chun ke sari eent wo javed le gaya
lekin maka'n kahi pe banaya nahi gaya.
******* |