donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Malikzada Javed
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* itna tanhai se mai ghabra gaya *
itna tanhai se mai ghabra gaya
kaat lee tasveer ek akhbar se.
 
wo har jumla adhoora bolta hai
phir uske baad chehra bolta hai.
 
sukhan me dast kari badh rahi hai
ghazal ke karkhane lag rahe hai'n.
 
uthao caimra tasveer khinch lo inki
udaas log kaha'N ROZ MUSKURATE HAI'N.
 
sanbhal kar guftgu karna buzurgo
ke bachhe ab palat kar bolte hai'n.
 
kitni ujlat thi hamei'n
chood aAYE GHAR KHULA.
 
chao'n ke saath dhoop bhi roie
aaj ek peid sookh jaane par.
 
us ki khawhish ka daiera mehdood
wo to gamle mei khawb boti hai.
 
shakh mere shajar ki hari chood de.
aie khiza'n apni jadugari chood de.
 
wo tehtul lafz ho ya ho tarannum
ghazal kis ki hai lehja bolta hai.
 
ab buzurgo'n se dua'aon ki jagah
tanziya jumle muqqadar ho gaie.
 
khidki ke bahar mat jhank
apne ghar ke andar dekh.
 
ajab seeli huie machis hai ghar me
zaroorat par kabhi jalti nahi hai.
 
ghar se nikal kar raho'n par
jism ko bhonei'n,khawb talei'n
 
motbar hone ki har tadbeer kar
do dino'n ki zindgani aur hai.
 
cheen ke aankho'n ki beenaie
khidki ke sab parde khush hai'n.
 
aek jhonka hawa ka paate hi
chahchahane lage parinde kuch.
 
ahed nau ki ghazlo'n ne
zindagi dhoop me guzari hai.
 
khol ke sankal aa jao
darwaza deewar ne hai.
 
ek barahna badan hai bistar par
raat me aaftab roshan hai.
 
zara si barf pighli hai abhi to
mohabbat ki nadi jaari bhi hogi.
 
gard ham ne hi khud udaie hai
tohmatei'n lag rahi hai'n manzar par.
 
sab apni qabr me murda pade hai'n
daro dewar par katbe jade hai'n.
 
zami me dafn hai'n kuch chand tare
lahu me tar hai'n jageerei'n puranei'n.
 
hua mehsoos usko dafn kar ke
saro'n par ab hamare chat nahi hai.
 
raat bhar jag kar mai so jao'n
kya taraqqi pasand ho jao'n?
 
sooch kar tanz kijye saheb
har diye me hai roshni uski.
 
be-wajh keh kehe kyoo'n
sanjida guftgu hain.
 
palat dete ho baazi muskura kar
qayamat ke zamana saaz ho tum.
 
kinare pao'n phailane lage hai'n
nadi se roz mitti kat rahi hai.
 
ek parinde ne par ko phaila kar
apne hisse ka aasman liya.
shohrato'n ka dar khula.
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 865