donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Malikzada Manzoor Ahmad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Itr ki ud ki ambar ki saman ki Khushboo *
Itr ki ud ki ambar ki saman ki Khushboo
sab se bahtar hai magar us ke badan ki Khushboo
koi mausam ho hawa leke chali ati hai
dur pardes main bhi Khak-e-watan ki Khushboo
chand lamhat main kar deti hai subhain roshan
nat ki hamd ki puja ki bhajan ki Khushbo
ab to rah rahke jali lashoo ki bo ati hai
pahle aisi to na thi mere chaman ki Khushboo
is ke har lafz main sao pholoo ki shamil hai mahak
shayri apni hai urdu ke dahan ki Khushboo
jab kabhi gor-e-Gariba se guzar mera hua
mujh ko mahsoos hoi apne kafan ki Khushboo
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 494