donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Masood Hassas
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Shamsher hai sanaan hai barqi ki baaz gasht *
Shamsher hai sanaan hai barqi ki baaz gasht
Ik daor ik jahaan hai barqi ki baaz gasht
 
Nasreen hai gulaab hai saosan hai chaandni
Kooye butaaN ki jaan hai barqi ki baaz gasht
 
Hikmat ka zaaichah hai ma”aarif hai falsafah
ghazloN ka martabaan hai barqi ki baaz gasht
 
aiyaam e saalefah ki ameeN hai naqeeb hai
purkhoN ka saaibaan hai barqi ki baaz gasht
 
ilmee nigaareshaat ka toofaan e bekaraaN
meethe suroN ki taan hai barqi ki baaz gasht
 
pur lutf o pur tarb hai mahaasin hai sar khushi
gulrez hai jawaan hai barqi ki baaz gasht
 
idrak hai jonoN hai saleeqah hai naghmagi
taoqeer e buzrugaan hai barqi ki baaz gasht
 
jis se shikaar hote hain mafhoom ke ghazaal
laa raib woh kamaan hai barqi ki baaz gasht
 
harfoN ka aabshaar hai lafzoN ka kaarwaaN
ik asp e betakaan hai barqi ki baaz gasht
 
sehr al bayaan hai kahiN sehr al lesaan hai
ulfat bharee zabaan hai barqi ki baaz gasht
 
apne noqaat e harf ki nuktah sanaash hai
be micl hai mahaan hai barqi ki baaz gasht
 
r”anaayi hai soroor hai ekhlaas. naghmagi
Hassaasa kah . jinaan hai barqi ki baaz gasht   
 
*************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 442