* daalooN kahaan kahana main khiyaalaat ki kamand *
daalooN kahaan kahana main khiyaalaat ki kamand
ghazlena kahun ki nazm ki doha kahun ki chhand
raftaar ki talab hai mosalsal safar me rah
cheetaa nahi banaati hai ik baar ki zaqand
musbat nigaareshaat me manfi khiyaal kiun
lehja to narm khoob hai muskaan zahr khand
ooNchaayi ka hosool hai pasti ki ibtedaa
karnaa hai gar buland to kirdaar kar buland
us ne kahaa vesaal ki shab mujh ko choom kar
marzee chale gee yaar ki jo yaar ki pasand
zebaaish e khiyaal ki ra'naaiyaaN to dekh
mafhoom ko na pahoNchi kisee lafz se gazand
taazah hawaa ki khowaahishen dam toDtin na kiun
raozan bhi sarey band they darwaaze saarey band
hassaas waaledain ke dil ki hai aarzoo
dukhtar khoda sanaash ho farzand arjamand
************** |