donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Meem Ashraf
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dil diwaana kyo,n kar mujh ko aadha paagal kar detaa hai *
Ghazal numa

Dil diwaana kyo,n kar mujh ko aadha paagal kar detaa hai, 
Kaisa bekal kar deta hai .
Dhalti shab me khwaabe zaroorat nange bistar ko garmaaye, 
Ujla makhmal kar deta hai .
Sholo’n par chalne ka irada dil me’n paida ho jaye to, 
Sondha sandal kar deta hai. 
Dil ki bijli aa’nkh se nikle to shole barbad na jaye’n
Itna kaajal kar deta hai.
Charhti dhoop mile to kya hai
maa’n ki duyae’n saath agar hai’n,
Saya aanchal kar deta hai. 
 
Bazme sukhan me “Ashraf “ tere fan ki hai tauqir alag hi, 
Kitna halchal kar deta hai. 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 307