* Chand tanha hai aasman tanha *
Chand tanha hai aasman tanha
Dil mila hai kahan kahan tanha
Bujh gayee aas chchup gya tara
Tharthrata raha dhuaaN tanha
Zindagi kya usi ko kahte hain
Jism tanaha hai aur jan tanha
Jalti bujhti si raushni k parde
Simta simta sa ek makan tanha
Raah dekha karegeN SadiyoN tak
Choor jayenge ye jahan tanha
***
|