|
* YuuN terii rah-guzar se diivaanaa-vaar guzre, *
YuuN terii rah-guzar se diivaanaa-vaar guzre,
kaaNdhe pe apne rakh ke apnaa mazaar guzre,
baiThe rahe haiN raaste meN dil kaa khanDhar sajaa kar,
shaayad isii taraf se ek din bahaar guzre,
bahtii huii ye nadiyaa ghulte hu’e kinaare,
ko’ii to paar utre, ko’ii to paar guzre,
tuu ne bhii ham ko dekhaa hamne bhii tujhko dekhaa,
tuu dil hii haar guzraa, ham jaan haar guzre,
diivaanaa-vaar : frenzied
mazaar : tomb
khanDhar : ruins
bahaar : spring
|
|