donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Meena Kumari
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ye nuur kaisaa hai, *
Ye nuur kaisaa hai,
raaKh kaa saa rang pahne,
barf kii laash hai,
laave kaa saa badan pahne,
guuNgii chaahat hai,
rusvaa’ii kaa kafan pahne,
har ek qatraa muqaddas hai maile aaNsuu kaa,
ek hujuum-e-apaahij hai aab-e-kausar par,
ye kaisaa shor hai jo be-aavaaz phailaa hai,
rupahlii chaaNv meN – badnaamioN kaa Deraa hai,
ye kaisii jannat hai jo chaunk-chaunk jaatii hai,
ek intizaar-e-mujassam ka naam – Khamoshii,
aur ehsaas-e-bekaraaN pe ye sarhad kaisii,
dar-o-diivaar kahaaN ruuh kii aavaargii ke,
nuur kii vaadii talak lams kaa ek safar-e-taviil,
har ek moR pe bas do hii naam milte haiN,
maut kah lo – jo muhabbat nahiiN kahne paa’o.
nuur : light
kafan : shroud
rusvaa’ii : disrepute
muqaddas : holy
apaahij : handicapped
aab-e-kausar : The water of the river Kausar
mujammas : clothed with a body
safar-e-taviil : long journey
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 380