|
* Ab jo ik hasrat-e-jawani hai, *
Ab jo ik hasrat-e-jawani hai,
umr-e-rafta ki ye nishani hai,
khak thi maujzan jaha'n mei'n, aur,
ham ko dhoka ye tha ke pani hai,
giriya har waqt ka nahi'n behech,
dil mein koi gham-e-nihani hai,
ham qafas zad qaidi hai'n warna,
ta chaman parfashani hai,
ya'n huye 'Mir' ham barabar-e-khak,
wa'n wahi naz-o-sargirani hai. |
|