donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Meer Taqi Meer
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Barang-e-bu-e-gul, is bagh ke ham aashna hote, *
Barang-e-bu-e-gul, is bagh ke ham aashna hote,
ke ham-rah-e-saba tuk sair karte, aur hawa hote,

sarapa arzu hone ne banda kar diya hamko,
wagarna ham khuda they, gar dil-e-bemudda hote,

falak, ai kash! hamko khak hi rakhta, ki us mei'n ham,
gubar-e-rah hote ya kisi ki khak-e-pa hote,

ilahi kaise hote hai'n jinhe'n hai bandagi khwahish,
hamei'n to sharm daman-gar hoti hai, khuda hote,

kahe'n jo kuchh malamat gar, baja hai 'Mir' kya jane,
unhe'n malum tab hota, ki waise se juda hote.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 372