|
* Dil se shauq-e-rukh-e-niko na gaya, *
Dil se shauq-e-rukh-e-niko na gaya,
jhankna takna kabhu na gaya,
har qadam par thi us ki manzil lek,
sar se sauda-e-justaju na gaya,
sab gaye hosh-o-sabr-o-tab-o-tawa'n,
lekin ai dagh dil se tu na gaya,
ham Khuda ke Kabhi qayal to na the,
un ko dekha to Khuda yad aa gaya,
dil mei'n kitne masaude the wale,
ek pesh us ke ru-ba-ru na gaya,
subah gardan hi 'Mir' ham to rahe,
dast-e-kotah ta sabu na gaya.
|
|