|
* Faqirana aaye sada kar chale, *
Faqirana aaye sada kar chale,
miya'n khush raho ham dua kar chale,
jo tujh bin na jine ko kahte the ham,
so is ahd ko ab wafa kar chale,
koi na-ummidana karte nigah,
so tum ham se munh bhi chhipa kar chale,
bahot aarzu thi gali ki teri,
so ya'n se lahu mai'n naha kar chale,
dikhai diye yu'n ki bekhud kiya,
hamai'n aap se bhi juda kar chale,
jabi'n sajda karte hi karte gai,
haq-e-bandagi ham ada kar chale,
parastish ki ya'n tain ki ay but tujhe,
nazar mai'n sabo'n ki Khuda kar chale,
gai umr dar band-e-fikr-e-ghazal,
so is fan ko aisas bara kar chale,
kahe'n kya jo puchhe koi ham se "Meer"
jaha'n mei'n tum aaye the, kya kar chale.
|
|