|
* Gham raha jab tak ke dam mein' dam raha, *
Gham raha jab tak ke dam mein' dam raha,
dil ke jane ka nihayat gham raha,
husn tha tera bahot aalam fareb,
khat ke aane par bhi ik alam raha,
mere rone ki haqiqat jis mai'n thi,
ek muddat tak wo kaghaz nam raha
jama-e-eharam-e-zahid par na ja,
tha haram mai'n lekin na-mahram raha.
|
|