|
* Hoti hai agarche kahne se yaro'n parai baat, *
Hoti hai agarche kahne se yaro'n parai baat,
par ham se to thami na kabhu munh pe aai baat,
kahte the us se milte to kya-kya na kahte lekin,
wo aa gaya to samne us ke na aai baat,
bul-bul ke bolne mai'n sab andaaz hai'n mere,
poshida kya rahi hai kisu ki urhai baat,
ik din kaha tha ye ke khamoshi mei'n hai waqar,
so mujh se hi sukhan nahi'n mai'n jo batai bat,
ab mujh zaif-o-zar ko mat kuchh kaha karo,
jaati nahi'n hai mujh se kisu ki uthai bat. |
|