|
* Idhar se abr uthkar jo gaya hai, *
Idhar se abr uthkar jo gaya hai,
hamari khak par bhi ro gaya hai,
masaib aur the par dil ka jana,
ajab ik saniha sa ho gaya hai,
muqamir-khana-e-afaq wo hai,
ke jo aaya hai ya'n kuchh kho gaya hai,
sarhane 'Mir' ke ahista bolo,
abhi tuk rote rote so gaya hai.
|
|