|
* Is ahad mei'n ilahi mohabbat ko kya hua, *
Is ahad mei'n ilahi mohabbat ko kya hua,
chhora wafa ko unne murawwat ko kya hua,
ummidwar wada-e-didar mar chale,
aate hi aate yaro'n qayamat ko kya hua,
bakhshish ne mujh ko abr-e-karam ki kiya khijal,
ae chashm-e-josh ashk-e-nadamat ko kya hua,
jata hai yar tegh bakaf ghair ki taraf,
ae kushta-e-sitam teri ghairat ko kya hua.
|
|