|
* Jis sar ko gharur aaj hai ya'n tajawari ka, *
Jis sar ko gharur aaj hai ya'n tajawari ka,
kal us pe yahi'n shor hai phir nauhagari ka,
afaq ki manzil se gaya kaun salamat,
asbab luta rah mei'n ya'n ham safri ka,
zindan mei'n bhi shorish na gai apne junun ki,
ab sang madawa hai is ashuftasari ka,
har zakhm-e-jigar dawar-e-mahshar se hamara,
insaf talab hai teri bedadgari ka,
is rang se jhamke hai palak par ke kahe tu,
tukra hai mera ashk aqiq-e-jigari ka,
le sans bhi nazuk ke ahista hai bahut kam,
afaq ki is karagah-e-shishagari ka,
tuk mir-e-jigar-sokhta ki jald khabar le,
kya yar bharosa hai chiragh-e-sahri ka.
|
|