|
* Jite-ji kucha-e-dildar se jaya na gaya, *
Jite-ji kucha-e-dildar se jaya na gaya,
us ki diwar ka sar se mere saya na gaya,
dil ke tain atish-e-hijra'n se bachaya na gaya,
ghar jala samne par ham se bujhaya na gaya,
kya tunak hausala the dida-o-dil apne ah,
ek dam raz mohabbat ka chupaya na gaya,
dil jo didar ka qayel ki bahot bhuka tha,
is sitam-kushta se yak zakhm bhi khaya na gaya,
shahar-e-dil ah ajab jaye thi par usk gaye,
aisa ujra ke kisi tarah basaya na gaya.
|
|