|
* Jo is shor se 'Mir' rota rahega, *
Jo is shor se 'Mir' rota rahega,
to ham-saya kahe ko sota rahega,
mai'n wo ronewala jaha'n se chala hu'n,
jise abr har sal rota rahega,
mujhe kam rone se hardam hai nasih,
tu kab tak mere munh ko dhota rahega,
base giriya ankhe'n teri kya nahi'n hai'n,
jaha'n ko kaha'n tak dubota rahega,
mere dil ne wo nala paida kiya hai,
jaras ke bhi jo hosh khota rahega,
tu yu'n galiya'n ghair ko shauq se de,
hamai'n kuchh kahega to hota rahega,
bas ae 'Mir' mizhga'n se ponchh ansuo'n ko,
tu kab tak ye moti pirota rahega. |
|