donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Meer Taqi Meer
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kabe mei'n janbalab the ham duri-e-buta'n se, *
Kabe mei'n janbalab the ham duri-e-buta'n se,
aaye hai'n phir ke yaro'n ab ke Khuda ke ya'n se,

jab kaundhati hai bijli tab janib-e-gulista'n,
rakhti hai chher mere khashak-e-ashiya'n se,

kya khubi us ke munh ki ae ghuncha naql kariye,
tu to na bol zalim bu ati hai waha'n se,

khamoshi mai'n hi ham ne dekhi hai maslahat ab,
har ik se hal dil ka muddat kaha zaba'n se,

itni bhi bad mizaji har lahza 'Mir tum ko,
uljhaw hai zami'n se, jhagra hai aasma'n se.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 399