donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Meer Taqi Meer
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mahar ki tujhse tawaqqo thi sitamgar nikla, *
Mahar ki tujhse tawaqqo thi sitamgar nikla,
mom samjhe the tere dil ko so paththar nikla,

dagh hun rashk-e-mohabbat se ke itna betab,
kis ki taskin ke liye ghar se tu bahar nikla,

jite ji ah tere kuche se koi na phira,
jo sitamdida raha jake so mar kar nikla,

dil ki abadi ki is had hai kharabi ke na puchh,
jana jata hai ki is raah se lashkar nikla,

ham ne jana tha likhega tu koi harf ae 'Mir'
par tera nama to ek shauq ka daftar nikla.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 337