|
* Manind-e-shama majalis-e-shab ashkbar paya, *
Manind-e-shama majalis-e-shab ashkbar paya,
al qissa 'Mir ko hamne beikhtiyar paya,
shahr-e-dil ek muddat ujra basa gamon main,
akhir ujar dena uska qarar paya,
itna na dil se milte na dil ko kho k rahte,
jaisa kiya tha hamne waisa hi yar paya,
kya aitabar yan ka phir us ko khwar dekha,
jisne jahan main akar kuch aitabar paya,
ahon k shole jis jan uthe hain 'Mir' se shab,
wan ja k subah dekha musht-e-gubar paya, |
|