|
* Na socha na samajha na sikha na jana, *
Na socha na samajha na sikha na jana,
mujhe a gaya khud bakhud dil lagana,
zara dekh kar apna jalwa dikhana,
simat kar yahin a na jaye zamana,
zuban par lagi hain wafaon ki muhren,
khamoshi meri kah rahi hai fasana,
gulon tak lagayi to asan hai lekin,
hai dushwar kanton se daman bachana,
karo lakh tum matam-e-naujawani,
pa 'mir' ab nahin ayega woh zamana,
|
|