|
* Patta-patta buta-buta hal hamara jane hai, *
Patta-patta buta-buta hal hamara jane hai,
jane na jane gul hi na jane, bagh to sara jane hai,
lagne na de bas ho to us ke gauhar-e-gosh ke bale tak,
us ko falak chashm-e-mai-o-khor ki titli ka tara jane hai,
aage us mutaqabbar ke ham Khuda Khuda kiya karte hai'n,
kab maujud khuda ko wo magrur khud-ara jane hai,
ashiq sa to sada koi aur na hoga duniya mai'n,
ji ke zia'n ko ishq mai'n us ke apna wara jane hai,
charagari bimari-e-dil ki rasm-e-shahar-e-husn nahi'n,
warna dilbar-e-nada'n bhi is dard ka chara jane hai,
kya hi shikar-farebi par maghrur hai wo sayad bacha,
tayar urte hawa mai'n sare apni usra jane hai,
mehar-o-wafa-o-lutf-o-inayat ek se waqif in mai'n nahi'n,
aur to sab kuchh tanz-o-kanaya ramz-o-ishara jane hai,
kya kya fitne sar par us ke lata hai mashuq apna,
jis bedil betab-o-tawa'n ko ishq ka mara jane hai,
ashiq to murda hai hamesha ji uthta hai dekhe use,
yar ke aa jane ko yakayak umr do bara jane hai,
rakhno'n se diwar-e-chaman ke munh ko le hai chipa ya'ani,
un surakho'n ke tuk rahne ko sau ka nazara jane hai,
tashna-e-khu'n hai apna kita 'Mir' bhi nadan talkhikash,
damdar ab-e-tegh ko us ke ab-e-gawara jane hai.
|
|