donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Meer Taqi Meer
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ulti ho gai'n sab tadabire'n, kuch na dawa ne kam kiya, *
Ulti ho gai'n sab tadabire'n, kuch na dawa ne kam kiya,
dekha is bimari-e-dil ne aakhir kaam tamam kiya,

ahd-e-jawani ro-ro kata, piri mai'n li'n ankhe'n mund,
yani raat bahut they jaage subah hui aram kiya,

nahaq ham majburo'n par tohmat hai mukhtari ki,
chahte hai'n so aap kare hai'n, hamko abas badnam kiya,

sarzad ham se be-adabi to wahshat mai'n bhi kam hi hui,
koso'n us ki or gae par sajda har har gam kiya,

aise aho-eharam-khurda ki wahshat khoni mushkil thi,
sihar kiya, ijaz kiya, jin logon ne tujh ko ram kiya,

yan k safed-o-syah main hamko dakhal jo hai so itana hai,
rat ko ro-ro subah kiya, din ko jyo'n-tyo'n sham kiya,

'Mir' ke din-o-mazhab ko ab puchhte kya ho un ne to,
qashqa khincha, dair mai'n baitha, kab ka tark islam kiya.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 411