donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Meeraji
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Chand sitarey qaid hain saarey waqt ki bandi khane main *
Chand sitarey qaid hain saarey waqt ki bandi khane main
lekin main aazad hoon Saaqi! chotey sey paimaaney main

um'r hay faani, um;r hay baaqi, is ki kuch parwah hi nahi
tu ye keh dey, waqt lagey ga kitna aaney jaane main

tujh sey doori doori kab thi, paas aur door tu dhoka hain
farq nahi unmool ratan ko kho kar phir sey maane main

do pal ki thi undhi jawani, nadaani ki, bhar paya
um'r bhala kiyu beetey saari ro ro kar pachatene main

pehley apna deewana tha ab hay apna deewana
pagal-pan hay waisa hay kuch, farq nahi dewaaney main

khushiyaa.n aain? acha, aain, mujh ko kiya, ehsaan nahi
sudh budh saari bhool gaya hoon dukh k geet sunaney main

apni beeti kaise sunaain, bad-masti ki baatain hain
Meera Jee ka jewan beeta paas k ik meh-khaney main
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 354