donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mehr Lal Soni Zia Fatehabadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Baad e khizaan na jaane kyaa raaz kholtii hai *
Baad e khizaan na jaane kyaa raaz kholtii hai
Phoolon kii pattiyon ko mittii mein roltii hai

Bechaaraa mar chukaa hai hastii ke ghamkade mein
Ab yaad e yaar naahaq dil ko tatoltii hai

Ae fitrat e gulistaan terii sitamzariifii
Kaliyon kii muskraahat kaanton mein toltii hai

Takmeel e ishq ae dil kahate hain kyaa isii ko
Khaamosh ham hain un kii tasveer boltii hai

Ae merii chashm e giriyaan aansoo hain terii daulat
Naayaab gouharon ko mittii mein roltii hai

Bulbul ke dil se poochho woh aalam e tabaahii
Nauras kali chaman mein jab aankh kholtii hai

Deewaangii pe qaaboo paa hii liyaa “Zia” ne
Har junbish us ke lab kii ab raaz kholtii hai
****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 290