* Tamaashaa hai sab kuchh, magar kuchh nahin *
Tamaashaa hai sab kuchh, magar kuchh nahin
Siwaae fareb e nazar kuchh nahin
Zamaanaa hai ye raqs e zarraat kaa
Hikaayaat e shams o qamar kuchh nahin
Sitaaron se aage meri manzilen
Balaa se agar baal o par kuchh nahin
Muhabbat ki ye mahviyat, kyaa kahoon
Woh aae to apni khabar kuchh nahin
Mera shauq e manzil hai shaabat qadam
Koii rahzan o raahbar kuchh nahin
Muhabbat hai insaan ki aabroo
Baghair e muhabbat bashar kuchh nahin
Zia to mareez e gham e ishq hai
Ilaaz is kaa ae chaaraagar kuchh nahin
With thanks : Ravinder Kumar Sony
|