donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mehr Lal Soni Zia Fatehabadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Beete hue dinon kii yaaden sajaa rahe hain *
Beete hue dinon kii yaaden sajaa rahe hain
Jo paa ke kho chuke hain voh kho ke paa rahe hain 
Ik hum ki badali badali aansoo bahaa rahe hain 
Ik voh ki bijali bijali shammen jalaa rahe hain
Naadaan hain kitane bhouren phoolon kii justaju men 
Kaanton se apne daaman naahaq bachaa rahe hain 
Kyaa jaane raat guzarii kyaa shaakh e aashiyaan par 
Khaamosh bulbulen hain gul gungunaa rahe hain 
Munh apnaa dekhte hain jo dil ke aaine men 
Bechehraa zindagii se purdah hataa rahe hain 
Kaifiyat apne dil kii samjhaa naa koii ab tak 
Hum shahar e aarzoo men be muddaa rahe hain
Khawaabon men rahnewaale kaise hain jo zamiin se 
Bus ek jast hii men garduun pe jaa rahe hain 
Kaasaa tahii hai lekin bedast o paa nahin hum
Tadbeer ke dhanii hain bigadii banaa rahe hain 
Unko Zia hai kaisii fikr e khudaashnaasii 
Jo apne aap se bhi naa aashanaa rahe hain  
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 312