donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mehr Lal Soni Zia Fatehabadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Saaye barhte hii chale jaate hain *
NAZM

“ Barhte saaye ”

Saaye barhte hii chale jaate hain
Khaak ugaltii hai dhuan
Noor simtaa huaa, munh apnaa chhupaane ke liye
Justaju men hai kisii goshe kii
Aur barhte hii chale jaate hain saaye hardam

Har taraf mashriq o maghrib kii fizaaon men hujoom
Jang kii tiirah o purhoal ghataaon kaa hai
Hichkiyaan lete nazar aate hain khursheed o nujoom
Rang bikhraa huaa maasoom fizaaon kaa hai 
Chang o barbat kii sadaa
Rooh ke raqs kaa ik aks e jameel
Noo e insaanii kii tahzeeb o tamaddun kaa nikhaar
Yaani sadiyon kaa nichod
Shorish o ghalghalaa e mahshar e ajsaam men aah
Rah gaii dab ke hameshaa ke liye
Kyaa hameshaa ke liye?

Kuraah e arz pe chhaaii hai bhyaanak zulmat
Aur maaloom nahin raah ke pech o kham
Aur manzil kaa tasavvur bhii nahin zahanon men 
Aur dil dahale hue, paaon pe larzaa taarii
Aur dam ghut.taa huaa

Zulmaten phir bhii ghirii aatii hain
Aur barhte hii chale jaate hain saaye hardam
        *********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 322