donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Menhdi Pratapgarhi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Keya bataauo'n sabab udaasi ka *
Keya bataauo'n sabab udaasi ka
Karb jhela hai na shanasi ka

Khud ko dohra rahi hai phir tareekh
Daur aaya hai be lebaasi ka

Aaj har shakhs ki zabaa'n par hai
Tazkera apni be asasi ka

Rah ke kuchh din teri refaqat me'n
Ilm sikha  ada shanasi ka

Husn ki aalami nomaish me'n 
Kaam keya hoga dewdasi ka

Kis zabaa'n se baya'n karoo'n "Mehdi"
Karb keya kuchh hai khud shanasi ka

28, School Ward, Pratapgarh-230001 (U.P)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 343