donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Ghalib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kisee ko de ke dil koee nawaasanj-e-fughaa kyo ho *
Kisee ko de ke dil koee nawaasanj-e-fughaa kyo ho
na ho jab dil hee seene mei’n to fir munh mei’n zubaa’n kyo’n ho

woh apnee khoo na chodenge, ham apnee waz'a kyo’n badlei’n 
subaksar banke kya poochein ki ham se sargiraan kyo’n ho 

kiya ghamkhwaar ne ruswa, lage aag is muhabbat ko
na laaye taab jo gham ki, woh mera raazdaan kyon ho 

wafa kaisee ? Kahaan ka ishq ? Jab sar phodna thehra
to fir 'ei sangdil tera hee sang-e-aastaa’n kyo’n ho 

qafas mein mujh se roodaad-e-chaman kehte na dar hamdam
giree hai jis pe kal bijlee woh mera aashiyaan kyon ho?

ye kah sakte ho "ham dil mei’n nahee’n hai’n" par ye batlaao
ki jab dil mei’n tumhee-tum ho to aankho’n se nihaa’n kyo’n ho 

ghalat hai jazba-e-dil ka shikwa, dekho jurm kiska hai
na khincho gar tum apne ko kashaakash darmiyaan kyon ho 

ye fitna aadmee ki khaanaweeraanee ko kya kam hai 
hue tum dost jiske, dushman uska aasmaan kyo’n ho 

yahee hai aazmaana to sataana kis ko kehte hai’n 
adoo ke ho liye jab tum to mera imtihaa’n kyo’n ho 

kaha tumne ki "kyon ho ghair ke milne mei’n ruswaaee 
baja kehte ho, sach kehte ho, fir kahiyo ki "haa’n kyo’n ho 

. Nikaala chaahata hai kaam kya taa'ano’’n se too 'ghalib'
tere bemehar kehne se wo tujh par meharabaan kyo’n ho
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 1088