donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Ghalib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dil E naadaaN tujhe huaa kya hai *
Dil  E naadaaN  tujhe  huaa  kya  hai

Aakhir  iss  dard  kii  davaa  kya  hai

Hum  haiN  mushtaaQ  aur  woh  bezaar

Yaa  ilaahee  yeh  maajraa  kya  hai

MaiN  bhi  muNh  me  zabaan  rakhta  huN

Kaash poochho  K muddu’aa  kya  hai

Jab  K  thujh  bin  naheeN  koi  maujood

Phir yeh  hangaamaa  ae  Khuda  kya  hai

Yeh  paree  chehra  log  kaise  haiN

Ghamza O  ishwa O  adaa  kya hai

Shikan E zulf E anbareeN  kyuN  hai

Nigah  chashm E  surma  sa  kya  hai

Sabza O gul  kahaaN  se  aaye  haiN

Abr  kyaa  cheez  hai,  havaaa  kya  hai

Hum  ko  un se  wafa  ki  hai  ummeed

Jo  naheeN  jaante  wafa  kya  hai

HaaN  bhala  kar  tera  bhala  hogaa

Aur  darvaesh  kee  sadaa  kya  hai

Jaan  tum  par  nissaar  karta hooN

Main naheeN jaanta du’aa  kya  hai

MaiN  ne  mana  K  kuchh  nahi  ‘Ghalib’

Muft  haath  aaye  to  buraa  kya  hai
*****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 395