donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Ghalib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jaur se baaz aaye par baaz aayaiN kya ? *
Jaur se  baaz aaye  par baaz  aayaiN  kya ?
Kehte haiN, ham tumko muNh dikhlayaiN kya ?
Raat din  gardish  meiN haiN  saat aasmaaN
Ho rahega kuchch-na-kuchch ghabraayaiN kya ?
Laag  ho  to   usko  ham   samjhaiN   lagaav
Jab na ho kuchch bhee, to dhoka khayaiN kya ?
Ho  liye   kyuN   naamaabar  ke  saath-saath ?
Yaar! apne KHat ko ham pahuNchaayaiN kya ?
Mauj-E-KHooN sar se guzar hee kyuN na jaaye
Aastaan-E-yaar    se    uTh   jaayaiN   kya ?
Umr  bhar dekhaa  kiye marne kee raah
Mar gaye par dekhiye dikhlaayaiN kya ?
Poochchte haiN woh K ‘GHalib’ kaun hai ?
Koee  batlaao   K  ham  batlaayaiN  kya ?
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 427