donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Ghalib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Koee din gar zindagaanee aur hai *
Koee din gar zindagaanee aur hai 
apne jee mei’n hamne thaanee aur hai

aatish-e-dozakh mei’n ye garmee kahaa’n
soz-e-gham haay nihaanee aur hai

baarha dekhee hain unkee ranjishai’n
par kuchch ab ke sargiraanee aur hai

deke khat mu’nh dekhta hai naamabar
kuchch to paighaam-e-zabaanee aur hai

qaata-e-'amaar hai aksar nujoom
woh balaa-e-aasmaanee aur hai

ho chukeen 'ghalib' balaayen sab tamaam
ek marg-e-naagahaanee aur hai
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 362