donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Ghalib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Maze jahaa’n ke apnee nazar mei’n khaak nahee’n *
Maze jahaa’n ke apnee nazar mei’n khaak nahee’n
siwaay khoon-e-jigar, so jigar mei’n khaak nahee’n

Magar ghubaar huve par hawa udaa le jaaye
wagarna taab-o-tavaa’n baal-o-par mei’n khaak nahee’n

Yeh kis bahishtshamaail kee aamad-aamad hai 
ke ghair jalva-e-gul rahguzar mei’n khaak nahee’n

Bhala use; na sahee, kuchch mujhee ko raham aataa
asar mere nafas-e-beasar mei’n khaak nahee’n

Khayaal-e-jalva-e-gul se kharaab hai maikash
sharaabkhane ke deewar-o-dar mei’n khaak nahee’n

Huwa hoo’n ishq ki ghaaratgaree se sharminda
siwaay hasrat-e-taameer ghar mei’n khaak Nahee’n

Hamaare sher hai’n ab sirf dillagee ke 'asad'
khulaa ki faayda arz-e-hunar mei’n khaak nahee’n
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 353