|
* Dhamki mai'n mar gaya jo na baab_e nabard tha *
Dhamki mai'n mar gaya jo na baab_e nabard tha,
ishq nabrad_e paisha talabgaar_e mard tha,
tha zindagi main marg ka khatka laga howa,
urney sey paishter bhi mera rang zard tha,
taleef nuskha hi wafa kar raha tha main,
majmoa_e khayyal abhi fard fard tha,
dill ta jigar, k saahil_e darya_e khoo.n hay abb,
is reh guzar main jalwa_e gull, Aa k gard tha,
jaati hay koi kashmakash undoh_e ishq ki,
dill bhi agar gaya, tu wohi dill ka dard tha,
ehbaab chara saazi_e wehshat na kar sakey,
zindaa.n main bhi khayyal_e bayabaa.n navard tha,
ye laash be-kafan, Asad_e khasta jaa.n ki hay,
huq_e maghfirat karey, ajab Aazad mard thaa. |
|