Aadam ha jism jab ke anaasir se mit bana,
Kuchh aag bach rahi thi, so aashiq ka dii bana.
Sar garam-e-nala in dinon main bhi hoo’n, andleeb,
Mat aashian chaman mein mere mutsil bana.
Jab teesha Kohkan ne liya haath, tab yeh ishq,
Bola ke apni chhaati pe aharne ko sit bana.
us teergi se roz hal ushaaq ha seaah,
Shaaid usi se chehre-e-khubaan pe til bana.
Lab zindagi mein kab mile us lab Se, ai kalaal,
Saaghar hamaari khaak ko math karke gil bana.
Apna hunar dikha denge hum tujhko sheesha gar,
Toota hua kisi ha agar hum se dil bana.
Sun sun ke arz-e-haal mera yaar ne kaha,
Sauda na baaten baith ke yaan mutsil bana