donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Mohammad Rafi Sauda
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Gul phainke ham auro’n ki taraf balke samar bhi, *

Gul phainke ham auro’n ki taraf balke samar bhi,
Ai khana bar andaaz-e-chaman, kuchh tau idhar bhi.

Kya zid hai Khuda jaane mere saath wagarna,
Kaafi hai tasaili ko miri ek nazar bhi.

Al abar qasam hai tujhe rone ki hamaare,
Tujh chashm se tapka hal kabhu lakht-e-jigar bhi?

Al naaia, sad afsos jawaan mardi pe tere,
Paaya na tanik dekhne mein roo-e-asar bhi.

Kis hasti-e-mauhoom pe naazaan hai tu al yaar,
Kuchh apne shab-o-roz ki hal tujh ko khabar bhi.

Tanha tere maatam mein nahin shaam seaah posh,
Rahta hai sada chaak-grebaan sahar bhi.

Sauda, ten faryaad se aankhon mein kati raat,
Aai hal sahar hone ko tuk tu kahin mar bhi.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 339