Jab nazar uski aan parti hai,
Zindagi tab dhiaun parti hai.
JheI lete ham aashiq, ai Farhad,
fiske sar jaisi aan parti hal.
Baat is dii ke dard ki, yaaro,
Gufatgoo mein nidaan parti hai.
Ek ke munh se jis ghari nikli
Phir tau sau ki zabaan parti hai,
Lekin itna koi kahe mujh se
Kabhu us ke bhi kaan parti hai.
Manzalat sher ki tire, Sauda,
Yun bawaham-o-gumaan parti hai,
Nahin Isaah tu, par sukhan se tire,
Tan-e-be jan mein jaan parti hai.