donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Mohammad Rafi Sauda
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Gul phaiNkay hai auroN ki taraf, bal k samar bhi *

Gul phaiNkay hai auroN ki taraf, bal k samar bhi
Ai Khaana bar-andaaz chaman, kuchh to idhar bhi
Tanha teray maatam meiN nahiN shaam siyah poash
Rehta hai sada chaak gereebaan-e-sehar bhi
Kis hasti-e-mauhoom pe naazaN hai tu ai yaar
Kuchh apnay sahab-o-roaz ki hai tujh to Khabar bhi
Kya zid hai meray saath Khuda jaaniyey warna
Kaafi hai tasalli ko meray aik nazar bhi
Sauda teri faryaad se aaNkhoN meiN kaTi raat
Hoanay ko sehar aayi hai, tu kahiN mar bhi!

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 383