donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mohsin Naqvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Agarche main ik chattaan sa admi raha hon *
Agarche main ik chattaan sa admi raha hon,
magar terey baad hosla hai ke ji raha hon,

voh reeza reeza merey badan mein utar raha hai,
main qatra qatra usi ki aankh ko pi raha hon,

teri hatheeli pe kis ne likha hai qatal mera,
muje to lagta hai main tera dost b raha hon,

khuli hain ankhain magar badan hai tamam pather,
koi bataye main mar chuka hon ke Ji raha hon,

kahan milegi misaal meri sitamgari ki ?
k main gulabon ke zakham kanton se si raha hon,

na puch muj se ke shehar walon ka hal kia tha,
k main to khud apne ghar mein do gharri raha hon,

mila to beetey dinon ka sach uski ankh mein tha,
voh aashna jis se mudatton ajnabi raha hon,

bhula de muj ko ke be-vafayee baja hai laken,
ganva na muj ko ke main teri zindagi raha hon,

voh ajnabi ban ke ab miley b to kia hai 'Mohsin',
yeh naz kam hai ke main b us ka kabi raha hon.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 360